Ashq
Jise se ho pyaar be intehaa aksar,
Us ka hi dil bahut dukhaate hain,
Yeh haqiqat hai maan lo iss ko,
Ashq aankhon main hi to aate hain.
Kitnaa mushqil hai baat woh kahanaa,
Jis ka ehsaas itnaa aasaan hai,
Tujh se hai ishq khush kismati meri,
Yeh mere sar pe aasamaan saa hai.
Benazir noor apani chaahat hai,
Mujh ko aabaad kar rahi hai yeh,
Yehi taaqat hai yehi kamazori,
Mujh ko aazaad kar gayi hai yeh.
Koi tadbir ki naa koshish ki,
Khud ba khud chha gayi thi shabanam si,
Ek sangat hai, ek bandish hai,
Dosti apani hai tarnnum si.
Paanch das bees saal gujarain to,
Saath aise hi barqaraar rahe,
Apane dukh dard apane darr baantain,
Ho bharosaa ke apanaa pyaar badhe.
Muskuraahat to baant_te hain sab,
Gham main bas dost paas aate hain,
Yeh haqiqat hai maan lo iss ko,
Ashq aankhon main hi to aate hain. |