Mother
KITNI PYAARI KITNI BHOLI
TERI SURAT TERI LORI
KITNA PAAK KITNE SAFFAQ
TERA DAAMAN TERE KHAYAAL
TU HE TO KHUSHAAL ZINDAGI
TU NA HO JIVAN UDAAS
TERI HAYAT MERI AARZOO
KYUN KE TU HE 'MAA' MERI.
Eak Ghar Tha....
Jaha hum baarish mein kashitiya banate,
Waha jidhar dadiya kahani sunate,
Woh sapnon ka banaya ghar jaha hum khele the,
Udhar hum badhe huye..
Jaha kabhi maa ki mithi maar khate ya to doston
ke gulchadiya udate,
Waha hum kheton mein titliya pakadte,
Aur woh panchiya udte dekhte,
Udhar the apne, aur lagta sabkuch apna..
Ab ek ghar hai
Jaha khwab bane se pehle tute,
Yaha dil har din ghire unchaiyon se,
Aur ye shishe ki tarha bikhre,
Idhar koi nahi jo in tukdo ko jodhe..
Hum hai aur tanha lamhe,
Salon ki tarha pal guzre,
Aahato ki talash hum karte,
Magar kisi ka intezar nahi dekhe..
Ghar yaha bas kadhe hai,
Bas ek imaarat ki tarhe...
Yaadon ki ruksate..
Baite hai teri soch mein,
Kya hai tum mein?
Tumhari nazar ya tumhare dil mein..
Hum? Hamare khwab tum ho,
Jism aur ru mein tumho,
Dil aur duniya tumho,
Din aur raat mein tumho,
Ab yaad aaya hai ye sab,
Seckdo lamhe guzre terehi bin,
Tere yaad mujhe bulate hai,
Mujhe bulalo apne pas ya bhulane do,
Acha, bas akhri bar gale lagalo,
Phir na kuch kahe, apne raaste chale,
Magar apni yaadein to chod ja-ae..
|